WAP Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

Kawakib - Topics
Create Your Own App Store

* Kawakib > Topics


Subject: Jume ki khususiyat
Replies: 18 Views: 3873

muwahid 14.06.10 - 06:45am
Jume ke din ke Fazail wa Masail *

muwahid 14.06.10 - 07:14am
Allah Ta'ala ne ummate Muhammadiya ko bahut si khususiyat aur fazail wa inaamo se nawaza he, unme se Jume ka din bhi he. Jiski quran wa hadith me badi ahmiyat aur fazilat bayan ki gayi he, kyouki is din Musalman badi tadad me masjido me jama hokar Allah ki ibadat karte he. Isliye use Jume ka din kaha gaya he. Aur isliye bhi ke is din tamam makhluk ki paidaish mukammal huyi. 6 din me duniya banayi gayi aur chhatha (6th day) din jume ka tha.
Abu Lubaba bin Abdul Munzir Badri (RDA) se riwayat he ki Rasule Akdas (SAW) ne irshad farmaya ki Jume ka din tamam dino ka Sardar he aur Allah Ta'ala ke paas tamam dino se jiyada Afzal wa Buzurgi wala he Aur Allah Ta'ala ke paas Idul Fitr aur Idul Azha se bhi jiyada Aham aur Azmat wala he. Is din me 5 khubiya he.
(1) Allah ne isi din Aadam Alayhissalam ko paida farmaya.
(2) Isi din Adam Alayhissalam ko Jannat se Zameen par utara.
(3) Isi din Allah ne unhe wafat di.
(4) Is din me ek Aisi ghadi he ki banda halal aur jayaz jo chiz bhi Allah se talab karta he to Allah Ta'ala use jarur wo chiz ata farmata he.
(5) Isi din Qayamat kayam hogi.
Isliye tamam Mukarrab Fariste, Asman, Jameen, Hawa, Pahad, Samandar tamam chize Jume ke din se darti rahti he.
Musnad Ahmed - Jild 12 - Hadith No. 15485 (Hadith ki sanad Hasan he) *

aftab4u 14.06.10 - 05:43pm
Alhumdulillah bhot behtrin baat batayi Allah apko zhaja e khair ataa farmaye aur kuch jumaa k barain mai batao bhaijan *

muwahid 14.06.10 - 07:47pm
Shukriya Aftab bhai, jesi aapki marzi. Aapka hukm sar Aankho par. InshaAllah me jume ke Mutalik bahot si bate aapko or sabhi ko bataunga. *

tayibah3 14.06.10 - 07:54pm
COME EARLY TO THE MASJID.
What is meant by early !
Before the second AZAAN.
We should try to come to the MASJID.
Long before this
but in order to be counted among those who have come early
the latest a person can come to the MASJID. Is before the second AZAAN, *

muwahid 14.06.10 - 07:58pm
Ek dusri Hadith jo Imame Malik(RH) ne Mu'atta ke Kitabul Jume me Abu Hurairah (RDA) se nakal farmayi he Ki Rasule Akram(SAW) ne irshad farmaya ki Isi din Aadam Alayhissalaam ki Touba kabul huyi isi din Qayamat kayam hogi. Insan aur Jinn ke alawa tamam Janwar Jume ke din Qayamat ke dar se subah suraj nikalne tak kaan lagaye rakhte he.
Mu'atta Imam Malik -Jild 1 - Hadith No. 108, 110
Sahih Ibne Khuzaima - Jild 3 - Hadith No. 1727 (Is Hadith ki sanad sahih he.)
*

muwahid 14.06.10 - 07:58pm
Ek dusri Hadith jo Imame Malik(RH) ne Mu'atta ke Kitabul Jume me Abu Hurairah (RDA) se nakal farmayi he Ki Rasule Akram(SAW) ne irshad farmaya ki Isi din Aadam Alayhissalaam ki Touba kabul huyi isi din Qayamat kayam hogi. Insan aur Jinn ke alawa tamam Janwar Jume ke din Qayamat ke dar se subah suraj nikalne tak kaan lagaye rakhte he.
Mu'atta Imam Malik -Jild 1 - Hadith No. 108, 110
Sahih Ibne Khuzaima - Jild 3 - Hadith No. 1727 (Is Hadith ki sanad sahih he.)
*

tayibah3 14.06.10 - 08:06pm
The reason for this is that the FARISHTAS,
WHO keep record of those present for the JUMMUAH SALAAH,
close their register at the time when the second AZAAN is called at the MIMBAR,
in front of THE IMAAN,
No names get entered into the registeq
after this
therefore we should come into the MASJID proper,
if there is place,
before the second AZAAN is called
we should not remain outside the precinct of the MASJID proper or hang around the back sections of the MASJID. Or in the car park,
as FARISHTAS
Sit at the doors of the MASJID
And register the names of those who are in the MASJID proper until the time the second AZAAN
IS CALLED
with regard to this
I WISH TO DEVAITE A BIT,
AND give a bit more of an explanation in respect of the honour of JUMMUAH. *

muwahid 14.06.10 - 08:13pm
Jume ka din wo azim din he jiski Fazilat se yahud wa nasara mahrum kar diye gaye.
Abu Hurairah(RDA) se riwayat he ki Rahmate Aalam (SAW) ne irshad farmaya: Humse pahle jo ummate thi. Unhe Jume ke din se mahrum kar diya gaya. Yahudiyo ke liye Sanichar (Se ay) or Itwar(Sunday) ka din Nasara(Isaiyo) ke liye tha. Fir Allah hume laya aur Jume ka din Inayat farmaya fir tarteeb me pahle Juma fir Sanichar fir Itwar kar diya aur is tarah wo Qayamat ke din bhi humare pichhe honge. Halanki hum duniya me tamam ummato me se sabse akhir me aaye he. Lekin Qayamat ke roz tamam Makhluk me sabse pahle humara faisla hoga.
Muslim Sharif - Kitabul Juma - Baab No. 6 - Hadith No. 856 *

tayibah3 14.06.10 - 08:14pm
SIT AS CLOSE TO THE IMAAM AS POSSIBLE.
THIS POINT 'IS DEALTH WHTH IN GREAT DETAIL,
AS IT IS OF GREAT IMPORTANCE,
YET GREATLY OVERLOOKED BY THE AWAAM.
THE DETAIL WITH WHICH HAZRATWALA DISCUSSES IT'S IMPORTANCE,
AND THE COMPASSION,
ANAGLOGIES,
AND EXAMPLES MY
HAZRAT D.A. GiVES, INDICATES
THAT ONE SHOULD give more than
just due attention to this aspect,
MAY ALLAH TA'ALA GRANT US ALL THE HIDAAYAT AND THE ABILITY
TO ACT UPON
HAZRATwalas advice , *

tayibah3 14.06.10 - 08:22pm
This is the point which requires some adjustment from many of us this is the area which requires the most attention from most of us
the best place to occupy in the MASJID is the place which is directly behind the IMAAM.
This place is not reserved for the MUKABBIR THE MUAZZIN if he is early then he can occupy that place and give the TAKBEER from that spot,
or else he could even stand in any of the STAFFS at the back and give TAKBEER from any where in the MASJID. *

tayibah3 14.06.10 - 08:22pm
This is the point which requires some adjustment from many of us this is the area which requires the most attention from most of us
the best place to occupy in the MASJID is the place which is directly behind the IMAAM.
This place is not reserved for the MUKABBIR THE MUAZZIN if he is early then he can occupy that place and give the TAKBEER from that spot,
or else he could even stand in any of the STAFFS at the back and give TAKBEER from any where in the MASJID. *

muwahid 15.06.10 - 05:59am
Jume ke din Namaz ki badi ahmiyat batayi gayi he. Ye Namaz Islam ke faraiz me se ek aham fariza he. Us din Musalmano ka bada ijtima hota he. Jo 3 Jume susti se chhor de. Allah uske dil par mohar laga deta he.
Tirmidhi Sharif - Jume ka bayan - Baab No. 8 - Hadith No. 500
Abu Hurairah (RDA) ka bayan he ki maine Rasule Akram (SAW) ko apne Mimbar ki lakdiyo par ye farmate huye suna ke Loug Jume ko chhor dene se ruk jaye Baaj aa jaye warna Allah unke dilo par mohar laga dega ke fir wo loug ghafil ho jayenge.
Muslim Sharif - Baab No. 12 - Hadith No. 865 - Jume ka bayan *

muwahid 15.06.10 - 06:07am
Jannat me usi din Allah Ta'ala jalwa farmata he. Imame Kartabi(RH) ne apni
Tafseer-e-Kartabi - Jild 17 - Safha 22 me Surah Qaaf ki Aayat No. 35
ki Tafseer karte huye ek Hadith nakal farmayi jo Hasan (RDA) se Mursalan Marvi he ki Ahle Jannat har Jume ke din Kafur ke tile par apne Parvardigar ka didar karenge. *

muwahid 15.06.10 - 06:20am
Ye din aisi Eid ka din he jo har hafte aata he.
Abdullah Bin Abbas (RDA) se riwayat he ki Rasule Akram (SAW) ne irshad farmaya : Allah ne Musalmano ke liye is din ko Eid ka din banaya he. Jo Shakhs Juma paye use chahiye ke wo Ghusl kare, Agar Khusbu ho to lagaye aur Miswak kare.
Ibne Maza Sharif - Jume ke bayan me - Hadith No. 1098 - Baab No. 6 - Sanad Hasan he. *

muwahid 15.06.10 - 06:25am
Abu Saeid Khudri (RDA) se riwayat he ki Rasulullah (SAW) ne irshad farmaya Jume ka din har Jawan par Wajib he.
Sahih Bukhari Sharif - Jume ka bayan - Baab No. 2 - Hadith No. 839 *

muwahid 15.06.10 - 06:35am
Salman Farsi (RDA) se riwayat he ki Rasule Akhdas (SAW) ne irshad farmaya ke jo admi Jume ke din Ghusl kare aur jahan tak paaki safai kar sakta he paaki safai kare aur apne ghar ke tail me se tail lagaye aur apne ghar walo ki khusbu me se khusbu lagaye fir Namaz ke liye nikle, Masjid me dakhil hokar 2 admiyo ke darmiyan na ghuse fir jitni Namaz uski Taqdir me he ada kare fir jab Imam khutba de tab khamosh rahe to is Jume se lekar aane wale Jume tak uske gunah maaf kar diye jayenge.
Bukhari Sharif - Jume ka bayan - Hadith No. 843 - Baab No. 5 *

muwahid 16.06.10 - 07:50am
Jume ke Din Achchha Libaas pahanna chahiye.
Ibne Maaza Sharif - Jume ka bayaan - Hadith No. 1096 - Baab No. 6 (sanad sahi hai.) *

muwahid 16.06.10 - 08:03am
Jume ke din Namaz ke liye achchhe ahatemam ke sath tayyari karke paidal chalna chahiye.
Aous Bin Aous Saqhfhi (RDA) se riwayat he ki Nabi-e-Akram (SAW) ne irshad farmaya: Jisne Jume ke din Ghusl kiya aur apni biwi ko Ghusl karaya(hukm diya) aur Namaze Juma ke liye jaldi gaya aur apne Ahlo Ayal ko lekar gaya aur shuru se he Jume ka khutba suna, Paidal chal kar gaya sawar na hua, Imam ke karib baithha kaan lagakar puri Tawajjoh se khutba suna koi laghav (galat) harkat na ki to uske har har kadam ke badle 1 saal ke rozo or 1 saal ki raato ke Qiyam ka sawaab ata kiya jata hai.
Sunan Ibne Maaza Sharif - Jume ka bayan - Hadith No. 1087 - Baab No. 3 (sanad sahi hai) *


* Reply
* Kawakib Forum


Search:
topics replies


* Kawakib

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Custom Search


Create Your Own App Store